Shaam se pahle tirī shaam na hone dūñgā | zindagī maiñ tujhe nākām na hone dūñgā

shaam se pahle tirī shaam na hone dūñgā, Urdu poetry, zindagī maiñ tujhe nākām na hone dūñgā,urdu shairi,Love Poetry,Recent,


شام سے پہلے تری شام نہ ہونے دوں گا


زندگی میں تجھے ناکام نہ ہونے دوں گا


اڑتے اڑتے ہی بکھر جائیں پر و بال اے کاش

طائر جاں کو تہہ دام نہ ہونے دوں گا


بے وفا لوگوں میں رہنا تری قسمت ہی سہی

ان میں شامل میں ترا نام نہ ہونے دوں گا


کل بھی چاہا تھا تجھے آج بھی چاہا ہے کہ ہے

یہ خیال ایسا جسے خام نہ ہونے دوں گا


لگنے دوں گا نہ ہوا تجھ کو خزاں کی میں ظفرؔ
پھول جیسا ترا انجام نہ ہونے دوں گا




shaam se pahle tirī shaam na hone dūñgā

zindagī maiñ tujhe nākām na hone dūñgā


uḌte uḌte hī bikhar jaa.eñ par-o-bāl ai kaash

tā.ir-e-jāñ ko tah-e-dām na hone dūñgā


bevafā logoñ meñ rahnā tirī qismat hī sahī

in meñ shāmil maiñ tirā naam na hone dūñgā


kal bhī chāhā thā tujhe aaj bhī chāhā hai ki hai

ye ḳhayāl aisā jise ḳhaam na hone dūñgā




lagne dūñgā na havā tujh ko ḳhizāñ kī maiñ 'zafar'

phuul jaisā tirā anjām na hone dūñgā

Post a Comment

0 Comments