Ad 1

Mna bhi loon ga galy bhi lgaon ga mein Ali | Ali Zaryoun

 

Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahin hoon tujhe khud main mubtila kar ke,

Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaye,
TaRrap utha hoon tere haq main baddua kar ke,

Main jootiyon main bhi betha hoon puray maan ke sath,
Kisi ne mujh ko bulaya hai iltijaa kar ke,

To phir woh rote huye manatain bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,

Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar–andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe khuda kar ke,

Mna bhi loon ga galy bhi lgaon ga mein Ali
Abhi tu dekha raha hoon isse khafa kar ke

پرائی  نیند میں سونے کا تجربہ کر كے ،
میں خوش نہیں ہوں تجھے خود میں مبتلا کر كے ،

یہ کیوں کہا كے تجھے مجھ سے پیار ہو جائے ،
تڑپ اٹھا ہوں تیرے حق میں بدعا کر كے ،

میں جوتیون میں بھی بیٹھا ہوں پورے مان كے ساتھ ،
کسی نے مجھ کو بلایا ہے التجا کر كے ،

تو پِھر وہ روتے  ہوئے منتیں بھی مانتے  ہیں ،
جو انتہا نہیں کرتے ہیں ابتداء کر كے ،

بشر سمجھ کر کیا تھا نا یوں مجھے   نظر انداز ،
لے میں بھی چھوڑ رہا ہوں تجھے خدا کر كے ،

منا بھی لوں گا گلے بھی لگاؤں گا میں علیؔ
ابھی تو دیکھ رہا ہوں اسے خفا کر کے

Post a Comment

0 Comments