Ad 1

Mein Shayar Hun To Aksar Log Mujhse Pochte Hain | Wasi Shah

 

Mein Shayar Hun To Aksar Log Mujhse Pochte Hain


Mein Shayar Hun To Aksar Log Mujhse Pochte Hain
Is Haseen Israar K Baare Mein
Batayen To Bhala Kya Hai
Muhabbat Aakhrish Hai Kya


Wasi Mein Hans K Kehta Hun
Kisi Pyasay Ko Apne Hissay Ka Paani Pilana Bhi Mohabbat Hai
Bhanwar Mein Doobte Ko Sahilon Tak Le K Jana Bhi Muhabbat Hai
Kisi K Waastay Nan'ni Si Qurbani Mohabbat Hai


Kahin Hum Raaz Saare Khol Sakte Hon
Magar Phir Bhi Kisi Ki Be-Basi Ko Dekh Kar
Khamosh Reh Jana Mohabbat Hai


Ho Dil Mein Dard Veerani Magar Phir Bhi
Kisi K Waastay Jabrun He Honton Pe Hansi Laana
Zabardasti Hi Muskana Muhabbat Hai


Kahin Barish Mein Sehmay Bheegte Billi K Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Le K Aana Bhi Mohabbat Hai


Koi Chirya Jo Kamray Mein Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko Pankhay Bandh Kar K
Raasta Bahir Ka Dikhlana Muhabbat Hai


Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotay Huay K Dil Ko Behlana Mohabbat Hai


K Meetha Bol Meethi Baat Meethay Lafz
Sab Kya Hai Muhabbat Hai


Mohabbat Ek Hi Bas Ek Hi Insaan Ki Khatir Magan Rehna
Hama Waqt Uski Baaton Khushbuon Mein Dolna Kab Hai


Mohabbat Uski Zulf K Bul Kholna Kab Hai
Mohabbat K Hazaaron Rang Laakhon Istaaray Hain


Kisi Bhi Rang Mein Ho Ye Mujhe Apna Banatay Hain
Ye Mere Dil Ko Bhaatay Hain Ye Mere Dil Ko Bhaatay Hain



میں شاعر ہوں تو اکثر لوگ مجھ سے پوچھتے ہیں
اس حسین اسرار کے بارے میں
بتائیں تو بھلا کیا ہے
محبت آخرش ہے کیا
وصی میں ہنس کے کہتا ہوں
کسی پیاسے کو اپنے حصے کا پانی پلانا بھی محبت ہے
بھنور میں ڈوبتے کو ساحلوں تک لے کے جانا بھی محبت ہے
کسی کے واسطے ننھی سی قربانی محبت ہے
کہیں ہم راز سارے کھول سکتے ہوں
مگر پھر بھی کسی کی بے بسی کو دیکھ کر
خاموش رہ جانا محبت ہے
ہو دل میں درد، ویرانی مگر پھر بھی
کسی کے واسطے جبراً ہی ہونٹوں پہ ہنسی لانا
زبردستی ہی مُسکانا محبت ہے
کہیں بارش میں سہمے بھیگتے بلی کے بچے کو
ذرا سی دیر کو گھر لے کے آنا بھی محبت ہے
کوئی چڑیا جو کمرے میں بھٹکتی آن نکلی ہو
تو اس چڑیا کو پنکھے بند کر کے
راستہ باہر کا دکھلانا محبت ہے
کسی کے زخم سہلانا
کسی روتے ہوئے کے دل کو بہلانامحبت ہے
کہ میٹھے بول، میٹھی بات، میٹھے لفظ سب کیا ہے؟
محبت ہے!
محبت ایک ہی بس ایک ہی انسان کی خاطر مگن رہنا
ہمہ وقت اس کی باتوں، خوشبوؤں میں ڈولنا کب ہے
محبت اس کی زلف کے بل کھولنا کب ہے
محبت کے ہزاروں رنگ ، لاکھوں استعارے ہیں
کسی بھی رنگ میں ہوں یہ مجھے اپنا بناتے ہیں
یہ میرے دل کو بھاتے ہیں یہ میرے دل کو بھاتے ہیں

Post a Comment

0 Comments