Balaghal 'Ula Bi Kamalihi, Kasha Fadduja Bijamalihi
Hasunat Jami'u Khisaalihi Sallu 'Alayhi Wa Aalihi
Wo Kamaal-e-husn-e-huzoor Hay, Kay Gumaan-e-naqs Jahaan Naheen
Yay-hee Phool Khaar Say Duur Hay, Yay-hee Sham'a Hai Kay Dhu-aan Naheen
Do Jahan Ki Behtariyan Nahi, Ke Amaniye Dilo Jaan Nahi
Kaho Kya Hain Wo Jo Yaha Nahi, Magar Ik Nahi Ki Wo Haan Nahi
Teyray Aagay Youn Hayn Dabbay Lachay, Fu-saha A'rab Kay Barray Barray
Ko-ee Jaanay Muh Mayn Zubaan Naheen, Naheen Balkay Jism Mein Jaan Naheen
Ba Khuda Khuda Ka Yay-hee Hay Darr, Nahin Aur Koi Maffar Maqqar
Joe Wahaan Say Ho Yaheen Aakay Ho, Jo Yahaan Naheen Tou Wahan Naheen
Sar-e-'arsh Per Hai Teree Guzar, Dil-e-farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-mulk Mayn Ko-ee Shay, Naheen Wo Tujh Pay A'yaan Naheen
Karuun Tayray Naam Pay Jaan Fida, Na Bas Eyk Jaan Do Jahaan Fida
Do Jahan Say Bhi Nahiin Ji Bhara, Karun Kya Karoron Jahan Nahiin
Sare La Makan Se Talab Hui, Sue Muntaha Wo Chale Nabi
Koi Hadd Hai Unke Urooj Ki, Balaghal 'Ula Bi Kamalihi
Wo Khuda Ke Noor Ko Dekh Karbhi, Jahaan Walon Me Agae
Sar-e-'arsh Jaana Kamaal Tha, Ke Waha Se Aana Kamaal Hai
Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yun To Kisi Ko Zabaan Nahi
Wo Sikhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Wo Bayaan Hain Jiska Bayaan Nahi
Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hain Unhi Ke Jalwo Me Sab Nihaan
Bane Subha Taabishe Mehar Se Rahe Peshe Mehar Yeh Jaan Nahi
Wahi Noor E Haq Wahi Jille Rab Hain Unhi Se Sab Hain Unhi Ka Sab
Nahi Unki Milk Mein Aasmaan Ki Jameen Nahi Ki Jamaan Nahi
Wo-hee Noor-e-haq Wo-hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Naheen Unkee Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Naheen
Wo-hee Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-e-'arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabee Hai Jiss Kay Hain Yay Makaan Wo Khuda Hai Jiss Ka Makaan Naheen
Kare Mustafa Ki Ihaanatain Khule Bando Uss Pe Yein Jur’ate,
Ke Mein Kya Nahin Hoon Muhammadi? Arey Haan Nahin Arey Haan Nahin.
Woh Sharf Key Qat’a Hain Nisbatain Wo Karam Key Sab Sey Qareeb Hain,
Koi Keh Do Yaas-o-ummid Sey Wo Kaheen Nahin Wo Kahaan Nahin.
Yeh Nahin Key Khuld Na Ho Neko Wo Nekoi Ki Bhee Hay Aabroo,
Magar Aay Madinah Ki Aarzoo Jise Chahe To Wo Samaa(n) Nahin.
Tera Qad To Naadire Daher Hay Koi Misl Ho To Misaal Dey,
Nahin Gul Key Paudo Mein Daaliya Key Chaman Mein Saro Chamaa Nahin.
Nahin Jis Key Rang Ka Dusra Na To Ho Koi Na Kabhi Huwa,
Kaho Us Ko Gul Kahe Kiya Koi Key Gulo Ka Dher Kahaa Nahin.
Karoon Madhay Ahle-e-doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-naan Naheen
Gule Quds Ki Woh Bahaar Hai
Ke Jise Kabhi Bhi Khiza Nahi
Woh Mahe Arab Ki Hai Raushni
Jaha Zulmato Ka Gumaa Nahi
Behijaab Dekhe Unhe Koi
Ye Kisi Me Taabo Tawa Nahi
Woh Kamaal Husne Huzoor Hai Ke Gumaane Naks Jaha Nahi
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shama Hai Ke Dhua Nahi
Jo Tere Sukhan Me Hai Chashni
Ba Khuda Kisi Ke Yaha Nahi
Kahe Ghair Bhi Ke Tere Sukhan
Me Galat Ka Naamo Nishaan Nahi
Aye Nabi Tera Ye Kalaam Hai
Jo Sama'ato Pe Gira Nahi
Mai Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yoon To Kisko Zabaan Nahi
Woh Sukhan Hai Jisme Sukhan Na Ho Woh Bayaa Hai Jiska Bayaa Nahi
Bhala Kisme Itni Majaal Hai
Ke Woh Tere Saamne Tik Sake
Jinhe Naaz Apni Zabaan Pe Tha
Woh Bhi Aaye Jab Tere Saamne
Ke Woh Rob Khaak Me Mil Gaya
Ke Woh Hont Bhi Na Hila Sake
Tere Aage Yoon Hai Dabe Lache Fushaa Arab Ke Bade Bade
Koi Jaane Muh Me Zabaa Nahi, Nahi Balke Jism Me Jaan Nahi
Tere Gul Se Paa Ki Bahar Par
Woh Bahare Baaghe Jinaa Fida
Tere Rukh Pe Chand Nisaar Ho
Tere Kad Pe Sar Woh Chaman Fida
Mere Saare Maalo Mataa' Kya
Ke Saro Pe Gar Meri Maa Fida
Karu Tere Naam Pe Jaan Fida Na Bas Ek Jaan Do Jahaa Fida
Do Jahaa Se Bhi Nahi Jee Bhara Karu Kya Qarodon Jahaa Nahi
Jo Kisi Se Pher Le Woh Nazar
Phire Mara Mara Woh Dar Badar
Na Use Qaraar Naseeb Ho
Na Suqoon Paaye Woh Umr Bhar
Do Jahaan Ke Khair Ki Hai Talab
To Chalo Dare Shahe Deen Par
Ba Khuda Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Makar
Jo Waha Se Ho Yahi Aake Ho Jo Yaha Nahi To Waha Nahi
Teri Baargah Me Arz Kya
Mai Karu Aye Maalike Behro Bar
Jo Khayal Dil Me Guzarte Hai
Ba Khuda Tu Unse Hai Ba Khabar
Kafe Daste Paak Ki Misl Hai
Tere Saamne Sabhi Khushk O Tar
Sare Arsh Par Hai Teri Guzar Dile Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot O Mulk Me Koi Shai Nahi Woh Jo Tujh Pe Ayaa Nahi
Mere Mustafa Mere Mujtaba
Tera Rooe Paak Hai Wadduha
Tera Ik Ishara Jo Mil Gaya
To Kaleja Chand Ka Chir Gaya
Tera Mehre Paak Teri Raza
Koi Laaye Tera Jawaab Kya
Nahi Jiske Rang Ka Dusra Na To Ho Koi Na Kabhi Hua
Kaho Usko Gul Kahe Kya Bani Ke Gulo Ka Dher Kaha Nahi
Kisi Maaldar Ki Madha Me
Kabhi Bhi Raza Ne Na Kuch Kaha
Jo Mere Raza Se Kaha Gaya
Ke Qaseeda Likho Nawaab Ka
To Suno Aye Qasime Benawa
Ke Mere Imaam Ne Kya Kaha
Karu Madha Ahle Duwal Raza Pade Is Bala Me Meri Bala
Mai Gada Hu Apne Kareem Ka Mera Deen Para E Naa Nahi
Mein Buron Say Laakh Bura Sahi Magar Un Say He Mera Waasta
Meri Laaj Rakhna Merai Khuda Yay Teray Habeeb Ki Baat Hai
Karuun Tayray Naam Pay Jaan Fida, Na Bas Eyk Jaan Do Jahaan Fida
Do Jahan Say Bhi Nahiin Ji Bhara, Karun Kya Karoron Jahan Nahiin
Tere Zikr Ki Hai Ye Barkatayn Mere Bigray Kaam Sanwar Ga-ay
Jahaan Tayri Yaad Ho Dil Nasheen Wahiin Rahmaton Ka Nazool Hai
Teri Deed Jisko Naseeb Hai Wo Naseeb Qaabil E Deed Hai
Tera Dekhna Maeri Eid Hai Tera Rukh Kalaam E Majeed Hai
Aaway Karma Wali Fayr O Gharii Phira Mein Madinay Gali Gali
Fayr Saadi Wi Howay Haazri Saaday Waastay Koii Dua Karay
Ho Daruud Tujh Pay Bhi Aminah Tayray Chaand Par Bhi Salam Ho
Tayri Goad Kitni Azeem He Mila Tujh Ko Maah E Tamaam Hai
Hai Yay Aarzu Jo Ho Surkhru Milay Do Jahaan Ki Aabru
Meyn Kahun Ghulam Huun Apka Wo Kahayn Kay Hamko Qabul Hai
Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo,
To Bana Ke Sarko Qadam Chalo, Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai
Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say, Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se,
Meray Dil Se Ghumbad E Sabz Ka, Yeh Muamla Koi Aur Hai.
Balaghal Ula Bi Kamalihi, Kashafad Duja Bi Jamalihi,
Hasunat Jameeu Khisalihi, Sallo Alaihi Wa Aalihi.
Main Behak Sakoon Yeh Majaal Kiya, Mera Rahmnuma Koi Aur Hai,
Mujhe Khoob Jaan Lein Manzilein, Ye Shikasta Pa Koi Aur Hai.
Jo Tumhari Jali Se Muttasilm, Hai Sutho Ke Picche Khajil Khajil,
Nahi Main Nahin Woh Marize Dil, Na Meray Siwa Koi Aur Hua.
Meri Iltija Hai Yeh Dosto, Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo,
To Bana Ke Sarko Qadam Chalo, Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai.
Hai Tujhe Khabar Shahe Einoaan, Meri Wajhe Raahate Qalbo Jaan,
Na Tere Siwa Koi Aur Tha, Na Tere Siwa Koi Aur Hai.
Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say, Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se,
Meray Dil Se Ghumbad E Sabz Ka, Yeh Muamla Koi Aur Hai.
Main Jo Door Arze Haram Se Tha, Hoi Khulde Gosh Haseen Sada,
Hai Isi Mein Majide Be Nawa, Ke Yeh Kaafila Koi Aur Hai.
Balaghal Ula Be Kamalehi Kashfad Duja Be Jamalehi
Hasunat Jameo Khesalehi Sallu Alaihi Wa’aalehi
Tera Naam Virdey Zuban Rahey Meri Aur Koi Dua Nahin
Mujhe Apne Dard Ki Bhik Dey Ke Tere Khazane Mein Kya Nahin
Woh Ghari Bhi Aaey Ghari, Ghari Tere Dar Pe Ho Meri Haazri
Tere Dar Se Dur Rahun Agar Koi Zindagi Ka Maza Nahin
Hai Hasin Dil Ki Woh Dharkane Huma Waqt Jo Tera Naam Lein
Hai Bujhee, Bujhee Si Woh Zindagi Tere Naam Pe Jo Fida Nahin
Ho Karam Nawazi Huzoor Ki Mere Gham Kade Mein Bhi Aa Kabhi
Mere Charagar Aey Mere Nabi Mera Koi Tere Siva Nahin
Yeh Inayaton Pe Inayatein Teri Anginat Hain Nawazishein
Hai Karam Gharib Nawaz Ke Woh Hai Kya Jo Mujh Ko Mila Nahin
Balaghal ‘Ula Bikamalehi Kasha Fad-duja Bijamalihi
Hasunat Jai’u Khisalihi Sallu ‘Alaihi Wa Alihi
Bagh Me Jab Main Gaya Sab Totiyan Thi Khushnuma
Kehti Thin Naat-e-mustafa Balaghal Ula Bikamalihi
Qumriyan Sab Shauq Me Dali Thi Gardan Tauq Me
Kehti Thi Aake Zauq Me Kasha Fad-duja Bijamalihi
Bulbulen Sab Subasu Le Kar Har Ek Ek Gul Ki Boo
Karti Thi Baham Guftagu Hasnat Jami’u Hisalihi
Chidiyon Ki Sun Kar Chahchahe Insan Bhala Kyun Chup Rahe
Lazim Hai Us Par Yun Kahe Sallu ‘Alaihi Wa Alihi
Huwa Afsaha Bemaqaaleh, Huwa Akmala Benawaaleh
Huwa Aa’zama Bejalaaleh, Huwa Afqada Bemisaaleh
Huwa Haamidun Wa Muhammad, Huwa Maajidun Wa Mumajjad
Huwa Amjad, Huwa Ahmad, Huwa Murshid, Huwa Arshad
Woh Bashir Bhi, Woh Nazir Bhi, Wohi Aap Apni Nazir Bhi
Woh Zamin Pe Shaaho Amir Bhi, Woh Falak Pe, Arsh Mir Bhi
Woh Qasim Bhi, Woh Jasim Bhi, Woh Nasim Bhi, Woh Wasim Bhi
Woh Rauf Bhi, Woh Rahim Bhi, Woh Khalil Bhi, Woh Kalim Bhi
Woh Rafi’ Apne Kalaam Mein, Woh Hasin Apne Jamaal Mein
Woh Aziz Apne Khisaal Mein, Woh Fanaah Khuda Ke Wisaal Mein
Wohi Arfaaud Darjaat Bhi, Wohi Akmalul Barkaat Bhi
Wohi Jamiul Hasnaat Bhi, Wohi Juda Bhi, Wasle Zaat Bhi
Hai Unhi Ka Faiz Jahaan Mein, Woh Namaaz Mein, Woh Azaan Mein
Woh Yagaana Aan Mein, Shaan Mein, Woh Gaye Falak Par, Ik Aan Mein
Yeh Jo Qasr Sabz Rawaaq Hai, Yeh Jo Charkh Haft Tabaaq Hai
Yeh Unhi Ke Qasr Ka Taaq Hai, Yeh Unhi Ke Zere Buraaq Hai
Woh Waraa-e Haft Falak Gaye, Ke Jahaan Nabi Na Malak Gaye
Woh Maqaame Qurb Talak Gaye, Jo Nihaan The Noor Jhalak Gaye
Unhein Be Hijaab Khuda Mila, Unhein Martabaa-e Bara Mila
Unhein Kya Diya, Unhe Kya Mila, Jo Diya, Diya, Jo Mila, Mila
Na Kahin Se Door Hai Manzilen, Na Koi Khareeb Ki Baat Hai
Jise Chahe Usko Nawaaz De, Ye Dare Habeeb Ki Baat Hai
Jise Chaha Dar Pe Bula Liya, Jise Chaha Apna Bana Liya
Ye Bade Karam Ki Hai Faizale, Ye Bare Naseeb Ki Baat Hai
Wo Khuda Nahi Ba Khuda Nahi, Wo Magar Khuda Se Juda Nahi
Wo Hai Kya Magar Wo Hai Kya Nahi Ye Muhib Habeeb Ki Baat Hai
Wo Habeeb E Rabbe Kareem Hai, Wo Rauf Hai Wo Raheem Hai
Unhe Fikr Hai Meri Aap Ki, Unhe Taha Tha Koi Aur Hai
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
نہ کہیں سے دور ہیں منزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
جسے چاہیں اس کو نواز دیں یہ در حبیبﷺ کی بات ہے
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
جسے چاہا در پہ بلا لیا جسے چاہا اپنا بنا لیا
یہ بڑے کرم کے ہیں فیصلے یہ بڑے نصیب کی بات ہے
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
وہ خدا نہیں بخدا نہیں مگر وہ خدا سے جدا نہیں
وہ ہیں کیا مگر وہ کیا نہیں یہ محب حبیبﷺ کی بات ہے
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
ترے حسن سے تری شان تک ہے نگاہ و عقل کا فاصلہ
یہ ذرا بعید کا ذکر ہے وہ ذرا فریب کی بات ہے
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
وہ مچل کے راہ میں رہ گئی یہ تڑپ کے در سے لپٹ گئی ۔
وہ کسی امیر کی آہ تھی یہ کسی غریب کی بات ہے
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
میں بروں سے لاکھ برا سہی رکھنا مگر ان سے میرا واسطہ
میری لاج رکھنا میرے خدا یہ تیرے حبیبﷺکی بات ہے
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
تجھے اے منور بے نوا ور شاہ ہے چاہیے اور کیا
جو نصیب ہو بھی سامنا تو بڑے نصیب کی بات ہے ۔
بلغ العلےٰ بکمالہٖ کشفَ الدُجیٰ بجمالہٖ
حسُنت جمیعُ خِصالہٖ صلو علیہ و آلہٖ
0 Comments