Ad 1

mujh say pehlisi mohabat mere mahboob na maang


mujh say pehlisi mohabat mere mahboob na maang 
main ne samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
 tera ghum hai tu gham-e-dehar ka jhagra kiya hai 
teri surat say hai alam mein baharon ko sabaat 
teri aankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai
 tu jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaaye 
yuon na tha, main ne faqat chaha tha yuon ho jaaye mujh say pehlisi mohabat mere mahboob na maang an ginat sadiyon ke taarek bahemana talism
 resham o atlas o kam-khab mein bunwaye huye ja-ba-ja biktey huye koocha-o baazaar mein jism khaak men lithre hoye khoon mein nahlaye hoye laut jaati hai idhar ko bhi nazar kya keeje 
ab bhi dilkash hai tera husan magar kiya keeje 
aur bhi dukh hain zamaane mein mohabat ke siva rahateen aur bhi hain wasal ki rahat ke siva 
 مجھ سے پہلی سی محبّت مرے محبوب نہ مانگ
 میں نے سمجھا تھا کہ تُو ہے تو درخشاں ہے حیات 
تیرا غم ہے تو غمِ دہر کا جھگڑا کِیا ہے
 تیری صورت سے ہے عالم میں بہاروں کو ثبات
 تیری آنکھوں کے سوا دنیا میں رکھا کیا ہے
 تو جو مل جائے تو تقدیر نگوں ہو جائے
 یوں نہ تھا، میں نے فقط چاہا تھا یوں ہو جائے 
اَن گِنت صَدیوں کے تاریک بہیمانہ طلسم
 ریشم و عطلس و کمخواب میں بُنوائے ہوئے
 جا بجا بِکتے ہوئے کوچہ و بازار میں جِسم
 خاک میں لِتھڑے ہوئے خون میں نہلائے ہوے
 لوٹ جاتی ہے اِدھر کو بھی نظر کیا کیجے 
اب بھی دلکش ہے ترا حسن، مگر کیا کیجے
 اور بھی دکھ ہیں زمانے میں محبّت 
کے سوا
 راحتیں اور بھی ہیں وصل کی راحت کے سوا

Post a Comment

0 Comments