Ad 1

Ye hai maykada yahan rind hain

 

Ye hai maykada yahan rind hain  Yahan sab ka saqi imam hai

Badakharon ke darmiyan saqi


Kuch masail ulajh gaye honge


Jab teri zulf khul gayi hogi


Sab yaqeenan sulajh gaye honge


Yeh he mehkada yahan rind hain


Yahan sab ka saqi imam he

Gham-i zamana bohat ihteram karta he


Mehkadah he yahan sukoon se baith


Koi aafat idhar nahi aati


Yeh saqi ki karamat he


Ke faiz-i mehparasti he


Ghata ke bhais mein mehkhane pe


Rehmat barasti he


Jise pee ke bazm-i rindan sar-i arsh jhoomti he


Woh sharaab aaj saqi tere ghar baras rahi he


Aray kayi bar doobe, kayi bar ubhre


Kayi bar tufan main chakkar lagaye


Tumhare takhayul nay aisa duboya


Bohat koshishen magar ubharne na paye


Kayi bar tufan se takrai kashti


Kayi bar takra ke sahil pe aye


Talash-e-talab mein woh lazzat mili he


Dua kar raha hoon ke manzil na aye


Yeh kis ki nigahon ne saghar pilaye

Khudi par meri bekhudi ban ke chaye


Khabardar aye dil, maqam-e-adab he


Kahin bada noshi pe dhabba na aye

Kuch is ada se karishme dekhaye jate hain


Ada shanas bhi dhoke mein aye jate hain


Hamara haal toh dekha, hamara zarf bhi dekh


Nigah uthti nahi, gham uthaye jate hain


Yeh mehkada he tera madrasa nahi waiz


Yahan sharaab se insan banaye jate hain

Pehle toh shaikh ne zara dekha idhar udhar

Phir sar jhuka ke dakhil-i mehkhana hogaya

Kuch soch ke shama pe parwana jala hoga


Shayad isi jalne mein jeene ka maza hoga


Jis waqt yeh meh tu ne botal mein bhari hogi


Saqi tera masti se kiya haal hua hoga


Mehkhane se masjid tak paye gaye naqsh-i pa


Ya shaikh gaya hoga ya rind gaya hoga

Are jhoom jhoom ke la, muskara ke la


Phoolon ke rasm-e chaand ki kirnein mila ke la


Kehte hain umr-e rafta kabhi laut ti nahi

Ja mehkade se meri jawani utha ke la

Saqi ki har nigah pe bal kha ke peegaya


Maujon se khailta hua lehra ke peegaya


Aur peeta baghair izn yeh kab thi meri majal


Dar pardah chashm-i yaar ki sheh pa ke peegaya


Aye rehmat-i tamam, meri har khata ma’af


Mein inteha-i shauq mein ghabra ke peegaya

Tauba ko tor tar ke ghabra ke peegaya

Yeh sab samjhane wale mujhe samjha ke rehgaye


Laikin mein aik aik ko samjha ke peegaya


Sheesha bhi bohat wasf o hunar rakhta he

Asraar-i nehufta ki khabar rakhta he


Rindon mein bhi milte hain allah wale


Nasha bhi bari tez nazar rakhta he

He mehkade ka khaas maqamat mein shumar


Jo rind bhi mila woh humein parsa mila

Khula na hota agar mehkade ka darwaza


Toh roshni ke liye hum kidhar gaye hotay


 


Yeh ghalat he sharaab ki tarif


Is ka zehnon pe raj hota hai


Sirf hiddat sharab deti hai


Are baqi apna mizaj hota hai


Har ranj ko khafif tabassum se taal de

Nazil ho koi barq toh saghar uchal de


Tu jam mein sharaab ko mat daal saqiya


Is ko bara-i rast mere dil mein daal de


Are bol meethe, nazar nashili he


Mein ne to mehkadon se pee li he


Mein ne thori se paish ki thi magar


Sheikh ne behisab pee li hai

Yahan sab ka saqi imam he


Jari hein roshni mein do sarmadi lakirein

Aik jaam ja raha he, aik jaam aa raha he

Bari haseen he zulfon ki shaam pee lijiye

Hamare haath se do char jam pee lijiye

Aur pilaye jab koi mashooq apne hathon se

Sharab phir nahi rehti haram pee lijiye

Aks-i jamal-i yaar bhi kiya tha ke deyr tak


Aine umrion ki tarah bolte rahe


Kal mehkade mein rind tawazun na rakh sake


Khat-i subooh pe kon-o-makan dolte rahe


Hum muttaqi-i shehr-i kharabat raat bhar


Tasbih-i zulf-i seen tana rolte rahe

Agarcheh banda nawazi ki tujh mein boo hoja


Kasam khuda ki khudai mein tu hi tu hoja


Agar baghair tere mehkashi karoon saqi


Sharaab jaam mein ate hi bas lahu hoja


Aur wuzoo sharab se kar ke sharaab khane mein


Namaaz jab parhon saqi imam tu hoja


 


Yeh he mehkadah yahan rind hain


Yeh haram nahi aye shaikh ji


Yahan parsai haram he


 Peena haram he na pilana haram he


Peene ke baad hosh mein ana haram he


Likha hua he pir-i mughan ki dukan par


Kamzarf ko pilana haram he


Jo zara si pee ke behak gaya


Use mehkade se nikal do


Are yahan kamnazar ka guzar nahi


Yahan ahl-e zarf ka kaam he


 


Sharab ka koi apna sarhi rang nahin


Sharab tajziya o ihtesaab karti he


Jo ahl-e dil hain barhati he abru on ki


Jo beshaoor hain unko kharab karti he

Yeh janab-i shaikh ka falsafa


Jo samajh mein meri na aa saka


Jo wahan piyo to halal he


Jo yahan piyo to haram he


 


Are patti patti gulab hojati


Har kali mehv-i khawab ho jati


Tum ne dali na mehfashan nazrein


Warna shabnam sharab hojati

Yeh janab-i shaikh ka falsafa


Jo samajh mein meri na aa saka


Jo wahan piyo to halal he


Jo yahan piyo to haram he


Read in Urdu click the link below:

https://www.newfatimablog.com/2021/01/ye-hai-maykada-yahan-rind-hain-in-urdu.html





Post a Comment

0 Comments