Ad 1

Yaar Gumaan Banate Hain Aur Main Edraak Banata Hon


 یار گمان بناتے ہیں اور میں ادراک بناتا ہوں
مٹی پر سجدہ کرتا ہوں اور چراغ بناتا ہوں

Yaar Gumaan Banate Hain Aur Main Edraak Banata Hon
Maati Par Sajda Karta Hon Aur Charagh Banata Hon

ہر مشہور کی پیشانی پر میری سند کا بوسہ ہے
عشق کے آگے جھکنے والوں کو افلاک بناتا ہوں

Har Mashhoor Ki Peshani Par Meri Sanad Ka Bosa Hay
Ishq K Aage Jhukne Walon Ko Aflaak Banata Hon

میں نے آنکھوں اور ہونٹوں کے سارے زہر چکھے ہیں دوست
پہلے خود کو ڈسواتا ہوں پھر تریاق بناتا ہوں

Main Nay Aankhon Aur Honton Kay Saare Zehr Chakhe Hain Dost !
Pehle Khud Ko Daswaata Hon Phir Taryaaq Banata Hon

روحوں کی لکنت میرے چھو لینے سے کھل جاتی ہے
لہجوں کو سیدھا کرتا ہوں دل بے باک بناتا ہوں

Roohon Ki Luknat Mere Chu Lene Say Khul Jati Hay
Lehjon Ko Seedha Karta Hon Dill Bebaak Banata Hon

ali zaryoun,Yaar Gumaan Banate Hain Aur Main Edraak Banata Hon



جس دن سے اُس نخلستان بدن سے قربت ہے زریون
شعر کبھی کہتا تھا لیکن اب تو باغ بناتا ہوں

Jis Din Se Us Nakhlistaan Badan Say Qurbat Hay Zaryoun
Sher Kabhi Kehta Tha Lekin ! Ab to Baagh Banata Hon!

Taryaaq: zehr ka elaj
Luknat: Bolne mein Masala hona
Nakhlistan : A green piece of land with dates and fresh water in the Desert 

Post a Comment

0 Comments