Ad 1

Har Waqt Tasawwur Mein Madinay ki gali ho

 

Har Waqt Tasawwur Mein Madinay ki gali ho lyrics roman urdu,Har Waqt Tasawwur Mein Madinay ki gali ho lyrics urdu,Naat,Har Waqt Tasawwur Mein Madinay ki gali ho,

Har Waqt Tasawwur Mein Madinay ki gali ho

Aur yaad Muhammad ki meray dil mein basi ho

Jab aaon Madinay main to ho chaak girebaan
Ankhon se barasti hui ashkon ki jhadi ho

Ae kaash main ban jaaon Madinay ka musafir
Phir roti hui Taiba ko baraat chali ho

Ae kaash Madinay main mujhe maut yun aaey
Qadmon main teray sar ho meri rooh chali ho

Jis waqt nakeerain meri qabar main aayen
Us waqt mere lab pe saji Naat e Nabi ho

Allah karam aisa kare tujhpe jaha(n) me
Ae Dawateislami teri dhoom machi ho

Aaqa ka gadaa hun Ae jahannam tu bhi sun lay
Wo kaise jale jo ke Ghulam e Madani ho

Aaqa ki shafa’at se to jannat hi milegi
Ae kash ke qadmo(n) main jaga unke mili ho

Mehfooz sada rakhna shaha be adabo(n) se
Aur mujh se bhi sarzad na kabhi be adabi ho

Attar hamara hai isay hashr main ae kaash
Dast e shah e batha sai yehi chithi mili ho

ہر وقت تصور میں مدینے کی گلی ہو

اور یاد محمد کی میرے دِل میں بسی ہو

جب آؤں مدینے میں تو ہو چاک گریبان
آنکھوں سے برستی ہوئی اشکوں کی جھڑی ہو

اے کاش میں بن جاؤں مدینے کا مسافر
پِھر روتی ہوئی تائبہ کو بارات چلی ہو
اے کاش مدینے میں مجھے موت یوں آئے
قدموں میں تیرے سَر ہو میری روح چلی ہو

جس وقت ناکییریں میری قبر میں آئیں
اس وقت میرے لب پہ سجی نعت نبی ہو

اللہ کرم ایسا کرے تجھ پے جہاں میں
اے دعوت اسلامی تیری دھوم مچی ہو

آقا کا گدا ہوں اے جہنم تو بھی سن لے
وہ کیسے جلے جو كے غلام مدنی ہو

آقا کی شفاعت سے تو جنت ہی ملے گی
اے کاش كے قدموں میں جگہ ان کے ملی ہو

محفوظ سدا رکھنا شاہ بے ادبوں سے
اور مجھ سے بھی سرزد نا کبھی بے اَدَبی ہو

عطار ہمارا ہے اسے حشر میں اے کاش
دست شاہ بطحا سے یہی چٹھی ملی ہو

Post a Comment

2 Comments

  1. Thanks for sharing. Allah will bless you for guiding and teaching information about
    Learn Quran With Tajweed

    ReplyDelete
  2. Absolutely posting! Lots of useful information and inspiration, both of which we all need!Relay appreciate your work.
    dars-e-nizami

    ReplyDelete