Ad 1

ye hūryān-e-farañgī dil o nazar kā hijāb



( بال جبریل)
ye hūryān-e-farañgī dil o nazar kā hijāb,Baal-e-Gibril,urdu poetry,Famous poetry,Allama Iqbal,



یہ حوریان فرنگی دل و نظر کا حجاب

بہشت مغربیاں جلوہ ہائے پا برکاب


دل و نظر کا سفینہ سنبھال کر لے جا

مہ و ستارہ ہیں بحر وجود میں گرداب


جہان صوت و صدا میں سما نہیں سکتی

لطیفۂ ازلی ہے فغان چنگ و رباب


سکھا دیے ہیں اسے شیوہ ہائے خانقہی

فقیہ شہر کو صوفی نے کر دیا ہے خراب


وہ سجدہ روح زمیں جس سے کانپ جاتی تھی

اسی کو آج ترستے ہیں منبر و محراب


سنی نہ مصر و فلسطیں میں وہ اذاں میں نے

دیا تھا جس نے پہاڑوں کو رعشۂ سیماب


ہوائے قرطبہ شاید یہ ہے اثر تیرا


مری نوا میں ہے سوز و سرور عہد شباب


Baal-e-Gibril


ye hūryān-e-farañgī dil o nazar kā hijāb

bahisht-e-maġhrabiyāñ jalva-hā-e-pā-ba-rikāb


dil o nazar kā safīna sañbhāl kar le jā

mah o sitāra haiñ bahr-e-vajūd meñ girdāb


jahān-e-saut-o-sadā meñ samā nahīñ saktī

latīfa-e-azalī hai fuġhān-e-chañg-o-rabāb


sikhā diye haiñ use sheva-hā-e-ḳhānqahī

faqīh-e-shahr ko suufī ne kar diyā hai ḳharāb


vo sajda rūh-e-zamīñ jis se kaañp jaatī thī

usī ko aaj taraste haiñ mimbar o mehrāb


sunī na misr o filistīñ meñ vo azaañ maiñ ne

diyā thā jis ne pahāḌoñ ko rā'sha-e-sīmāb


havā-e-qurtaba shāyad ye hai asar terā

mirī navā meñ hai soz-o-surūr-e-ahd-e-shabāb

Post a Comment

0 Comments