Ad 1

Roz kehna k ab nahi karna | Roz phir rabta wahin karna | Atibaf Abrak



Roz kehna k ab nahi karna
Roz phir rabta wahin karna



lakh ye aqal aqal sikhlaye
is mohabbat ne kab yaqeen karna



sadgi dekhiye mohabbat ki
eik dagha umar bhar makeen karna



door manzil se aur le jaye
isi rehbar ko humnashen karna



aadatein khub hain mohabat ki
badshahon ko be zameen karna



bas mohabbat ye soch kar kijiye
aap ko aur kuch nahi karna



shayeri yon kharab hai ABRAK
shab e hijran ko bhi hasen karna



apne likhe py to aamal karna
Aesi galti na phir kahin karna

Roz kehna k ab nahi karna,Roz phir rabta wahin karna,Atibaf Abrak,Urdu shairi,Urdu Shairi Famous,Recent,



روز کہنا کے اب نہیں کرنا
روز پِھر رابطہ وہیں کرنا


لاکھ یہ عقل عقل سکھلائے
اِس محبت نے کب یقین کرنا


سادگی دیکھیے محبت کی
ایک دغا عمر بھر مکین کرنا

دور منزل سے اور لے جائے
اسی رہبر کو ہمنشیں کرنا


عآدتیں خوب ہیں محبت کی
بادشاھوں کو بے زمین کرنا


بس محبت یہ سوچ کر کیجیے
آپ کو اور کچھ نہیں کرنا


شاعری یوں خراب ہے ابرک
شب ہجراں کو بھی حسین کرنا


اپنے لکھے پے تو عمل کرنا
ایسی غلطی نا پِھر کہیں کرنا

Post a Comment

0 Comments