رات پھیلی ہے تیرے سرمئی آنچل کی طرح
چاند نکلا ہے تجھے ڈھونڈنے پاگل کی طرح
خشک پتوں کی طرح لوگ اڑے جاتے ہیں
شہر بھی اب تو نظر آتا ہے جنگل کی طرح
پھر خیالوں میں ترے قرب کی خوشبو جاگی
پھر برسنے لگی آنکھیں مری بادل کی طرح
بے وفاؤں سے وفا کر کے گزاری ہے حیات
میں برستا رہا ویرانوں میں بادل کی طرح
کلیم عثمانی
raat phaily hai tairay surmai aanchal ki terhan
chaand nikla hai tujhe dhoandne pagal ki terhan
khushk pattoun ki terhan log uray jatay hain
shehar bhi ab to nazar aata hai jungle ki terhan
phir khayalon mein tre qurb ki khushbu jaagi
phir barsne lagi ankhen meri baadal ki terhan
be wafaon se wafa kar ke guzari hai hayaat
mein barasta raha viranoon mein baadal ki terhan
~ Klaim usmani

0 Comments