Tum nah manu magar haqeeqat hai ishhq insaan ki zaroorat hai lyrics


 تم نہ مانو مگر حقیقت ہے
عشق انسان کی ضرورت ہے
جی رہا ہوں اس اعتماد کے ساتھ
زندگی کو مری ضرورت ہے
حسن ہی حسن جلوے ہی جلوے
صرف احساس کی ضرورت ہے
اس کے وعدے پہ ناز تھے کیا کیا
اب در و بام سے ندامت ہے
اس کی محفل میں بیٹھ کر دیکھو
زندگی کتنی خوبصورت ہے
راستہ کٹ ہی جائے گا قابلؔ
شوق منزل اگر سلامت ہے
قابل اجمیری

POETRY,Sad Poetry,Qabil Ajmeri,tum nah manu magar haqeeqat hai,ishhq insaan ki zaroorat hai,


tum nah manu magar haqeeqat hai
ishhq insaan ki zaroorat hai
jee raha hon is aetmaad ke sath
zindagi ko meri zaroorat hai
husn hi husn jalwey hi jalwey
sirf ehsas ki zaroorat hai
is ke waday pay naz thay kya kya
ab dar o baam se nedamat hai
is ki mehfil mein baith kar dekho
zindagi kitni khobsorat hai
rasta kat hi jaye ga قابلؔ
shoq manzil agar salamat hai
qabil ajmiri

Post a Comment

0 Comments