Ik main hi nahi un par qurban zamana hai lyrics | اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے



ik main hi nahi un par qurban zamana hai lyrics in roman urdu hindi
Ik Main Hi Nahi Un (S.A.W) Par Qurban Zamanah Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai


Aao Dar E Zahra Par Phelaye Hue Daman
Hai Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai


Kal Pul Se Hamain Jis Ne Khud Paar Lagana Hai
Zahra(R.A) Ka Wo Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai
Sayeda Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai


Izzat Se Na Mar Jayein Keyun Naam E Muhammad Par
Youn Bhi Kisi Din Ham Ne Dunya Se To Jana Hai


Sarkar E Madina Ki Hun Pusht Panahi Mein
Dunya Ki Hy Keya Parwah Dushman Jo Zamana Hai


Ye Keh Ke Dar E Haq Say Li Maut Ne Kuch Mohlat
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai


Is Hashmi Dulha Par Konain Ko Mein Vaarun
Jo Husn O Shamail Mein Yaktae Zamana Hai


So Baar Agar Tauba Tooti Bhi To Kya Herat
Bakhshish Ki Rivayat Mein Tauba To Bahana Hai


Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pe Nigahein Hain
Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai


Qurban Us Aaqa Par Kal Hashar Ke Din Jisnay
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai


Har Waqt Woh Hain Meri Dunya E Tasawar Mein
Ae Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai


Mahroom Karam Is Ko Rakhye Nah Sar E Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aakhir Sayel To Purana Hai


Ik Main Hi Nahi Un (S.A.W) Par Qurban Zamanah Hai
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai



اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے

جو رب دو عالم کا محبوب یگانہ ہے


کل جس نے ہمیں پل سے خود پار لگانا ہے

زہرہ کا وہ بابا ہے سبطین کا نانا ہے


اس ہاشمی دولہا پر کونین کو میں واروں

جو حسن و شمائل میں یکتائے زمانہ ہے


عزت سے نہ مر جائیں کیوں نام محمد پر

ہم نے کسی دن یوں بھی دنیا سے تو جانا ہے


آؤ در زہرہ پر پھیلائے ہوئے دامن

ہے نسل کریموں کی لج پال گھرانا ہے


ہوں شاہ مدینہ کی میں پشت پناہی میں

کیا اس کی مجھے پروا دشمن جو زمانہ ہے


یہ کہہ کے در حق سے لی موت میں کچھ مہلت

میلاد کی آمد ہے محفل کو سجانا ہے


قربان اس آقا پر کل حشر کے دن جس نے

اس امت عاصی کو کملی میں چھپانا ہے


سو بار اگر توبہ ٹوٹی بھی تو حیرت کیا

بخشش کی روایت میں توبہ تو بہانہ ہے


ہر وقت وہ ہیں میری دنیائے تصور میں

اے شوق کہیں اب تو آنا ہے نہ جانا ہے


پر نور سی راہیں ہیں گنبد پہ نگاہیں ہیں

جلوے بھی انوکھے ہیں منظر بھی سہانا ہے


ہم کیوں نہ کہیں ان سے روداد الم اپنی

جب ان کا کہا خود بھی اللہ نے مانا ہے

Post a Comment

0 Comments