Ad 1

Apnay sab yar kaam kar rahay hain

 Apnay sab yar kaam kar  rahay hain

Our hum hain ky nam kar rahay hain


tegh baazi ka shoq apni jagah
aap to qatal aam kar rahay hain

daad o tehseen ka yeh shore hai kyun
hum to khud se kalaam kar rahay hain

hum hain masroof intizam magar
jane kya intizam kar rahay hain

hai woh be chaargi ka haal ke hum
har kisi ko salam kar rahay hain

aik قتالہ chahiye hum ko
hum yeh elaan aam kar rahay hain

kya bhala saghar sifaal ke hum
naaf pyaale ko jaam kar rahay hain

hum to aaye thay arz matlab ko
aur woh ehtram kar rahay hain

nah utthay aah ka dhuwan bhi ke woh
koye dil mein Khiraam kar rahay hain

is ke honton pay rakh ke hont –apne
baat hi hum tamam kar rahay hain

hum ajab hain ke is ke koochy mein
be sabab dhoom dhaam kar rahay hain

Apnay sab yar kaam kar  rahay hain,john ellia


اپنے سب یار کام کر رہے ہیں

اور ہم ہیں کہ نام کر رہے ہیں

تیغ بازی کا شوق اپنی جگہ
آپ تو قتل عام کر رہے ہیں

داد و تحسین کا یہ شور ہے کیوں
ہم تو خود سے کلام کر رہے ہیں

ہم ہیں مصروف انتظام مگر
جانے کیا انتظام کر رہے ہیں

ہے وہ بے چارگی کا حال کہ ہم
ہر کسی کو سلام کر رہے ہیں

ایک قتالہ چاہیے ہم کو
ہم یہ اعلان عام کر رہے ہیں

کیا بھلا ساغر سفال کہ ہم
ناف پیالے کو جام کر رہے ہیں

ہم تو آئے تھے عرض مطلب کو
اور وہ احترام کر رہے ہیں

نہ اٹھے آہ کا دھواں بھی کہ وہ
کوئے دل میں خرام کر رہے ہیں

اس کے ہونٹوں پہ رکھ کے ہونٹ اپنے
بات ہی ہم تمام کر رہے ہیں

ہم عجب ہیں کہ اس کے کوچے میں
بے سبب دھوم دھام کر رہے ہیں

جون ایلیاء

Post a Comment

0 Comments